← Saari free guides · Prompt packs

Ek ChatGPT Prompt = Free Teacher

Complete Guide (Hinglish) — koi bhi skill 30 din mein seekho, aur pehla client kaise mile

FREE ChatGPT30 Din PlanCopy-Paste Prompt

Video

Pehle 30 second ki video dekh lo, phir neeche step by step karo.

📋 Master Prompt (copy-paste)

Ye prompt free ChatGPT pe bhi chalta hai. Poora copy karo aur naye chat mein paste karo:

Tum mere personal teacher aur career coach ho. Pehle mujhse 3 sawal pucho, ek-ek karke: (1) kaunsi skill seekhni hai, (2) mera level (beginner/intermediate/advanced) aur roz kitna time de sakta hun, (3) goal kya hai (job, freelancing, apna business). Jawab ke baad: 30 din ka plan table mein banao: din, topic, 30–60 min ka kaam, free resource (YouTube/website ka naam), aur 3 sawalon ka chhota test. Har 7 din ke end mein ek chhota project do jo portfolio mein lag sake. Week 4 mein: is skill se kamaane ke 3 tareeke (freelancing, local business, online), pehla client dhoondhne ke steps, aur ek sample message jo main client ko bhej sakun. Simple Hinglish mein samjhao. Roz main 'Day X done' likhunga, tab agla din shuru karna.

🗣️ 3 sawalon ka jawab kaise do

SawalExample jawab
Kaunsi skill?Video editing
Level + time?Beginner, roz 1 ghanta
Goal?Freelancing — local businesses ke reels
Jitna specific jawab, utna achha plan. "Kuch bhi" mat likho.

📅 Roz ka routine

  1. Roz usi chat mein jao (naya chat mat kholo — plan wahin hai).
  2. Us din ka kaam karo, phir likho: Day 1 done.
  3. ChatGPT test dega — jawab do, phir agla din.
  4. Har 7 din pe project banao aur portfolio folder mein rakho.

💼 5 skills jo businesses kharidte hain

SkillKis ko bech sakte ho
Video editing (reels)Restaurant, salon, gym, coach
Canva designPosters, menu, social posts
ExcelShop ka stock, accounts, reports
Meta adsLocal business jo ads chalana chahte hain
AI se websiteJinke paas website nahi hai

✉️ Week 4: pehle client ko message

Template
Namaste [Naam] ji 🙏
Maine aapka [business] dekha. Maine aapke liye ek [sample reel/poster] banaya hai — free mein dekh lijiye: [LINK]
Pasand aaye to aise 4 har mahine bana sakta hun. Baat karein?

⚠️ Zaroori baat

Ye prompt plan aur rasta deta hai — kamai aapki practice pe depend karti hai. Koi shortcut nahi. Roz ka kaam miss mat karo.

⬇ Is guide ki PDF (Google Drive)

Roz ek naya free AI tool:YouTube pe subscribeInstagramFacebook

Ek tool se aage

Ye ek guide thi. Poori AI team chahiye?

16 AI agents jo client dhoondhte hain, content banate hain aur WhatsApp ke jawab likhte hain. Free ChatGPT ya Gemini mein chalte hain. Ek baar ₹699.

AI Business Team dekho →

Isi tarah ki aur guides